A poem in Hindi (The Life of a Married dude)

Abhi shaadi ka pehla hi saal tha,
Khushi ke maare mera bura haal tha,

Khushiyaan kuchh yun umad rahin thi,
Ki sambhale nahi sambhal rahi thi..

Subah subah madam ka chai le kar aana
Thoda sharmate huye humein neend se jagana,

Wo pyaar bhara hath hamare baalon mein phirana,
Muskurate huye kehna ki..
Darling chai to pi lo, Jaldi se ready ho jao, Aap ko office bhi hai jaana.

Gharwali bhagwan ka roop le kar aayee thi,
Dil aur dimag par poori tarah chhayee thi,

Saans bhi lete they to naam usee ka hota tha,
Ik pal bhi door jeena dushwar hota tha..

5 saal baad........

Subah subah madam ka chai le kar aana,
Table par rakh kar jor se chillana,
Aaj office jao to munna ko
School chodte hue jana..............

Suno ek baar phir wohi awaaj aayi,
Kya baat hai abhi tak chhodi nahi charpayee,
Agar munna late ho gaya to dekh lena,
Munna ki teachers ko phir khud hi sambhaal lena..

Na jane gharwali kaisa roop le kar aayi thi,
Dil aur dimaag par kaali ghata chhayee thi,
Saans bhi lete hain to unhi ka khayal hota hai,
Ab har samay jehan mein ek hi sawal hota hai..

Kya kabhi woh din laut ke aayenge,
Hum ek baar phir kunwaare Ho jaayenge.....

0 comments: