jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye
tum dena saath mera o humnawaaz

na koi hai na koi tha zindagi mein tumhaare siva
tum dena saath mera o humnawaaz

ho chaandni jab tak raat deta hai har koi saath
tum magar andheron mein na chhodna mera haath

wafadaari ki vo rasmein nibhayenge hum tum kasmein
ek bhi saans zindagi ki jab tak ho apne bas mein

0 comments: